Do din ke mulaqato main
Kya rang bikher gaye
Hum aap se mile, milkar bhi
Aap se bichar gaye
Kya kahoo kaise bitayi hai hamne
Tanhayiwon ke din
Hoto ki har sangeet byarth hai
Mere aap hi ke bin
Pal pal hamein aapki
Yaad aati hai
Ped ki panchi
Aapki hi geet sunati hai
Door kahi se ek aahat aati hai
Chupke se kaano main
Koi kuch kehke chali jaati hai
Viyog ki yeh vedna
Hum kaise sahenge
Kya mere zindegi main
Kabhi lautke aayenge
Aap aaye yah naa aaye
Hum aapke naam se jiyenge
Door hi se hum aapse
yu pyar karenge
Suraj ki aakhri kiran mein
Didar karenge
Aur umar bhar yu aapka
Hum intezar karenge...
Aapka,
Anand
Good One Anand... Keep it up...
ReplyDeleteThanks Bhaiya...:) :)
Deletegood keep it up
ReplyDelete